is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen
apni jaan de kar wafa karne ka hum wada karen
aao shabnam ki tarah ban jaen taqdir-e-chaman
kyun kali ban kar khilen aur khil ke murjhaya karen
gulshan-e-hasti mein hum sawan ke baadal ki tarah
jhum kar uTTha karen aur TuT kar barsa karen
KHaka-e-ulfat mein KHun bharna tha hum ne bhar diya
log hum ko ba-wafa ya be-wafa samjha karen
apni aankhon ka samundar bah ke to KHamosh hai
dil ke andar ki sulagti aag ko hum kya karen
ek hi chullu hai kafi ahl-e-ghairat ke liye
Dub marne ke liye kyun KHwahish-e-dariya karen
kho ke kya paya hai hum ne pa ke kya kuchh kho diya
aaine mein waqt ke saqi ye andaza karen

Ghazal
Is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen
Abdul Hameed Saqi