is se pahle ki bichhaD jaen hum
do-qadam aur mere sath chalo
abhi dekha nahin ji-bhar ke tumhein
abhi kuchh der mere pas raho
mujh sa phir koi na aaega yahan
rok lo mujh ko agar rok sako
yun na guzregi shab-e-gham 'nasir'
us ki aankhon ki kahani chheDo
Ghazal
Is se pahle ki bichhaD jaen hum
Nasir Kazmi