is qadar naz hai kyun aap ko yaktai ka
dusra nam hai wo bhi meri tanhai ka
kya chhupe raaz ilahi dil-e-shaidai ka
arsa-e-hashr to bazar hai ruswai ka
jaan le jaega aana shab-e-tanhai ka
kaun ab rokne wala hai meri aai ka
KHugar-e-ranj-o-bala hashr ke din kya KHush hon
ki wo mal aaj hua hai shab-e-tanhai ka
zinda hai nam shahadat ka usi ke dam se
tere kushte ne kiya kaam masihai ka
har gali kuche mein pamal use ho jaana
dil hai ya naqsh-e-qadam hai kisi harjai ka
is adab se tah-e-shamshir taDapna ai dil
ki guman teri tapish par ho shakebai ka
fitne bhi qaede se uThte hain jab uThte hain
kya saliqa hai tumhein anjuman-arai ka
wo ye kahte hain mera sabr paDega tujh par
ab mujhe ranj nahin apni shakebai ka
kya gharaz hai meri taqdir ko mujh se puchhe
aabru ka hai talabgar ki ruswai ka
wan shab-e-wada mali panw mein mehndi us ne
yan kaleja koi malta hai tamannai ka
raat bhar shama rahi hijr mein wo bhi KHamosh
multaji tha teri taswir se goyai ka
sar mera kaT ke dahliz par apni rakh do
shauq baqi hai abhi nasiya-farsai ka
yun na maqbul hua hoga kisi ka sajda
but ko arman raha meri jabin-sai ka
ho gaya partaw-e-ruKHsar se kuchh aur hi rang
main ne munh chum liya us ke tamashai ka
tham gae jam gae aankhon mein lahu ke qatre
KHun zahir hai mere sabr o shakebai ka
ban gaya dagh-e-jigar mehr-e-qayamat ai 'dagh'
par abhi rang wahi hai shab-e-tanhai ka
Ghazal
Is qadar naz hai kyun aapko yaktai ka
Dagh Dehlvi