is qadar KHud pe hum jafa na karen
jism ko jaan se juda na karen
ashk az chashm-e-man juda nashiwad
aap aisi kabhi dua na karen
aao ahd-e-wafa karen donon
aur ahd-e-wafa wafa na karen
phul ban kar mahakne lagte hain
aap zaKHmon ko yun chhua na karen
dur mana zamin hai us se
aasman se magar kaha na karen
aur bhi kuchh mazid dahkegi
aag ko yun hawa diya na karen
kaise bhulenge mujh ko un se kaho
zikr itna mera kiya na karen
hum bhi insan hain farishte nahin
ye to mumkin nahin KHata na karen

Ghazal
Is qadar KHud pe hum jafa na karen
Shehzad Raza Lams