is qadar afsurdagi mahsus ki
main ne jab us ki kami mahsus ki
raat mein soya tha dariya ke qarib
KHwab mein ek jal-pari mahsus ki
us ke aane ka yaqin baDhne laga
farsh-e-dil par ghas ugi mahsus ki
aaj phir wo dar khula tha dhyan mein
aur ek diwar si mahsus ki
waqt ka karne lage hum ehtiram
har mohabbat aaKHiri mahsus ki
maut jis din chhu ke guzri thi mujhe
main ne us din zindagi mahsus ki
aaj man ghar pe nahin thi aur phir
hum ne kitni be-ghari mahsus ki
waqt us ne mujh se puchha tha 'wasim'
sab ne hathon mein ghaDi mahsus ki

Ghazal
Is qadar afsurdagi mahsus ki
Waseem Tashif