is qadar ab gham-e-dauran ki farawani hai
tu bhi minjumala-e-asbab-e-pareshani hai
mujh ko is shahar se kuchh dur Thahar jaane do
mere ham-rah meri be-sar-o-samani hai
aankh jhuk jati hai jab band-e-qaba khulte hain
tujh mein uThte hue KHurshid ki uryani hai
ek tera lamha-e-iqrar nahin mar sakta
aur har lamha zamane ki tarah fani hai
kucha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junun
ishq walon ne abhi KHak kahan chhani hai
is tarah hosh ganwana bhi koi baat nahin
aur yun hosh se rahne mein bhi nadani hai

Ghazal
Is qadar ab gham-e-dauran ki farawani hai
Mustafa Zaidi