اردو हिंदी
Is par ka ho ke bhi mein us par gaya hun | Shaahi Shayari
is par ka ho ke bhi mein us par gaya hun

Ghazal

Is par ka ho ke bhi mein us par gaya hun

Ishaq Veerdag

;

is par ka ho ke bhi mein us par gaya hun
ek ism ki barakat se kai bar gaya hun

KHairaat mein de aaya hun jiti hui bazi
duniya ye samajhti hai ki main haar gaya hun

thame hue ek raushni ke hath ko har shab
pani pe qadam rakh ke main us par gaya hun

darwaze ko auqat mein lane ke liye main
diwar ke andar se kai bar gaya hun

kya mere liye ek bhi kirdar nahin tha
kyun apni kahani se main be-kar gaya hun

mushkil hai tujhe aag ke dariya se bacha lun
ai shahr-e-peshawar main tujhe haar gaya hun

KHwabon ne jo ek khel banaya tha mere dost
is khel mein tabir se main haar gaya hun