is nae gham se kinara bhi to ho sakta hai
ishq phir hum ko dobara bhi to ho sakta hai
aap andaza lagate rahen bas jugnu ka
meri muTThi mein sitara bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki ye jaan luTa di jae
us ki yaadon pe guzara bhi to ho sakta hai
dil ki basti se sar-e-sham jo uTTha hai dhuan
achchhe mausam ka ishaara bhi to ho sakta hai
aap ko hum se mohabbat bhi to ho sakti hai
aur mohabbat mein KHasara bhi to sakta hai
ye jo phaila hai falak tak shab-e-hijran ka ghubar
meri wahshat ka nazara bhi to ho sakta hai
Ghazal
Is nae gham se kinara bhi to ho sakta hai
Nazir Wahid