is mein kya shak hai ki aawara hun main
kuche kuche mein phira karta hun main
mujh se sarzad hote rahte hain gunah
aadmi hun kyun kahun achchha hun main
saf-o-shaffaf aasman ko dekh kar
gandi gandi galiyan bakta hun main
qahwa-KHanon mein basar karta hun din
qahba-KHanon mein sahar karta hun main
din guzarta hai mera ahbab mein
raat ko footpath par sota hun main
biT kar jati hai chiDiya TanT par
azmat-e-adam ka aaina hun main
kanch si guDiyon ke narm aasab par
surat-e-sang-e-hawas paDta hun main
nazukon ke naz uThane ke bajae
nazukon se naz uThwata hun main
dusron ko kya pata apna bataun
ab to KHud apne liye anqa hun main
mujh se puchhe hurmat-e-kaba koi
masjidon mein choriyan karta hun main
mujh se likhwae koi hijw-e-sharab
mai-kadon mein qarz ki pita hun main
main chhupata hun barahna KHwahishen
wo samajhti hai ki sharmila hun main
kis qadar bad-namiyan hain mere sath
kya bataun kis qadar tanha hun main
KHwab-awar goliyon se ai 'shuur'
KHud-kushi ki koshishen karta hun main
Ghazal
IsMein kya shak hai ki aawara hun main
Anwar Shuoor