is liye dauDte hi aise hain
hum ko kuchh waswase hi aise hain
wan pe gandum bhi kha nahin sakte
KHuld mein masale hi aise hain
ya to sara jahan bahra hai
ya to hum bolte hi aise hain
ruh bhi kya kare miyan aaKHir
jism ke mashghale hi aise hain
ya mera aks jhuT kahta hai
ya sabhi aaine hi aise hain
us ko chhupne mein lutf aata hai
hum use DhunDte hi aise hain
jaaniye ab hue hain aise hum
ya shuruat se hi aise hain

Ghazal
Is liye dauDte hi aise hain
Faraz Mahmood Fariz