اردو हिंदी
Isko na raat kah tu na isko bata ghalat | Shaahi Shayari
isko na raat kah tu na isko bata ghalat

Ghazal

Isko na raat kah tu na isko bata ghalat

Qayem Chandpuri

;

is ko na raat kah tu na is ko bata ghalat
kya jaane kya sahi hai waqe mein kya ghalat

dekha hai main rubai-e-hasti ko ghaur se
par lafz na-durust hain had-e-muddaa ghalat

izhaar-e-ishq Dol hi apna nahin hai shoKH
jin ne kaha ye tujh se hai mahz iftira ghalat

us marpech kuche mein kakul ke dil hai gham
jis mein ki rah-e-KHizr ne akasr kiya ghalat

'qaem' na aish-e-naqd ko nisya pe chhoDiye
kya jaane baat qissa ki hai rast ya ghalat