اردو हिंदी
Is jahan se koi bhi sauda na kar | Shaahi Shayari
is jahan se koi bhi sauda na kar

Ghazal

Is jahan se koi bhi sauda na kar

Ramzan Ali Sahar

;

is jahan se koi bhi sauda na kar
dekh apne aap ko ruswa na kar

chhin kar yaadon ka sarmaya meri
is bhari mahfil mein yun tanha na kar

ajnabi hun ajnabi hi rahne de
is tarah meri taraf dekha na kar

pattharon ki choT sah leta hun main
phul yun meri taraf phenka na kar

kar 'sahar' ki aabru ka kuchh KHayal
mahfil-e-aghyar mein charcha na kar