اردو हिंदी
Is gham ki dhup mein mujhe purwaiyan na do | Shaahi Shayari
is gham ki dhup mein mujhe purwaiyan na do

Ghazal

Is gham ki dhup mein mujhe purwaiyan na do

Lalan Chaudhary

;

is gham ki dhup mein mujhe purwaiyan na do
jalne do apni zulf ki parchhaiyan na do

larzan hain do-jahan qayamat bapa na ho
apne shuur-e-husn ko angDaiyan na do

aa jao kab se KHalq tarasti hai did ko
parde mein apne aap ko tanhaiyan na do

ho jae jis mein gharq meri kashti-e-umid
wo bahr-e-iztirab ki gahraiyan na do

hoti hain kargar kahin jhuTi tasalliyan
ai chaarasazo dil ko shakebaiyan na do

roz-e-azal se hai dil-e-wahshi junun-pasand
majnun ko zauq-e-anjuman-araiyan na do

'afat' uTha lun hath na us zist se kahin
mere junun-e-ishq ko ruswaiyan na do