is ehtimam se parwane peshtar na jale
tawaf-e-shama karen aur kisi ke par na jale
hawa hi aisi chali hai har ek sochta hai
tamam shahr jale ek mera ghar na jale
hamein ye dukh ki numud-e-sahar na dekh sake
sahar ko hum se shikayat ki ta-sahar na jale
charagh-e-shahr nahin hum charagh-e-sahra hain
kise KHabar ki jale aur kise KHabar na jale
teri dalil baja par ye kaise mana jae
shajar ko aag lage aur koi samar na jale
shuur-e-qurb ki ye bhi hai ek ajab manzil
hum us ko ghair ki mahfil mein dekh kar na jale
ye sham marg-e-tamanna ki sham hai 'sadiq'
koi charagh kisi taq-e-chashm par na jale

Ghazal
Is ehtimam se parwane peshtar na jale
Sadique Naseem