is duniya mein apna kya hai
kahne ko sab kuchh apna hai
yun to shabnam bhi hai dariya
yun to dariya bhi pyasa hai
yun to hira bhi hai kankar
yun to miTTi bhi sona hai
munh dekhe ki baaten hain sab
kis ne kis ko yaad kiya hai
tere sath gai wo raunaq
ab is shahr mein kya rakkha hai
baat na kar surat to dikha de
tera is mein kya jata hai
dhyan ke aatish-dan mein 'nasir'
bujhe dinon ka Dher paDa hai
Ghazal
Is duniya mein apna kya hai
Nasir Kazmi