is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae
chamki jo zara dhup to jalne lage sae
suraj ke ujale mein charaghan nahin mumkin
suraj ko bujha do ki zamin jashn manae
mahtab ka partaw bhi sitaron pe giran hai
baiThe hain shab-e-tar se ummid lagae
har mauj-e-hawa shama ke dar pai hai azal se
dil se kaho lau apni zara aur baDhae
kis kucha-e-tiflan mein chale aae ho 'shair'
aawaza kase hai to koi sang uThae
Ghazal
Is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae
Himayat Ali Shayar