is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai
jina bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai
ab waqif-e-mafhum-e-wafa qalb-e-hazin hai
ab aap ki bedad bhi bedad nahin hai
tum aur meri KHana-KHarabi pe tabassum
ummid se baDh kar abhi qadr-e-dil-o-din hai
ya tere siwa husn hi duniya mein nahin tha
ya dekh raha hun ki jo manzar hai hasin hai
ye zist hai ya maut samajh mein nahin aata
ab dard hai aur dard ki taklif nahin hai

Ghazal
Is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai
Raaz Yazdani