is but se dil laga ke bahut sochte rahe
sabr-o-sukun luTa ke bahut sochte rahe
jab samna hua to zaban ruk gai meri
wo bhi nazar jhuka ke bahut sochte rahe
diwangi-e-shauq mein apne hi hath se
ghar apna hum jala ke bahut sochte rahe
umDa jo abr yaad ne un ki rula diya
KHali subu uTha ke bahut sochte rahe
kahte kise chaman mein luTe aashiyan ki baat
tinke uTha uTha ke bahut sochte rahe
dekha ye jab ki yas-o-tabahi hai hashr-e-ishq
aansu baha baha ke bahut sochte rahe
'afat' bashar ne jab bhi bashar par kya sitam
hum dukh se tilmila ke bahut sochte rahe

Ghazal
Is but se dil laga ke bahut sochte rahe
Lalan Chaudhary