is be tulua shab mein kya talea-azmai
KHurshid lakh ubhre lekin sahar na aai
kab tak fareb-e-jada kab tak ghubar-e-manzil
ai dard-e-na-tamami ai ranj-e-narsai
har gul ka chaak sina gulzar aafrina
ab ke ajab KHazina teri bahaar lai
sahil pe KHema-kash hain aasudgan-e-sahil
tufan kar rahe hain kashti ki na-KHudai
har aah kah rahi hai ek dard ka fasana
har ashk likh raha hai ek qissa-e-judai
sahba kahan hai yaro koi use pukaro
viran ho raha hai kunj-e-ghazal-sarai

Ghazal
Is be tulua shab mein kya talea-azmai
Sahba Akhtar