اردو हिंदी
Is andhere mein jo thoDi raushni maujud hai | Shaahi Shayari
is andhere mein jo thoDi raushni maujud hai

Ghazal

Is andhere mein jo thoDi raushni maujud hai

Aftab Hussain

;

is andhere mein jo thoDi raushni maujud hai
dil mein us ki yaad shayad aaj bhi maujud hai

waqt ki wahshi hawa kya kya uDa kar le gai
ye bhi kya kam hai ki kuchh us ki kami maujud hai

kaun jaane aane wale pal mein ye bhi ho na ho
dhup ke hamrah ye jo chhanw si maujud hai