is aankh mein KHwab-e-naz ho ja
ai hijr ki shab daraaz ho ja
asrar tamam khul rahe hain
tu apne liye bhi raaz ho ja
ai naghma-nawaz aaKHir-e-shab
aahang-e-shikast-e-saz ho ja
diwar ki tarah band kyun hai
dastak koi de to baz ho ja
ab din to ghurub ho raha hai
sae ki tarah daraaz ho ja
yan fath sabab hai sar-kashi ka
tu haar ke sarfaraaz ho ja
tu shisha bane ki sang kuchh ban
andar se magar gudaz ho ja
us aankh se sikh raaz-e-ismat
khul khel ke pak-baz ho ja

Ghazal
Is aankh mein KHwab-e-naz ho ja
Saleem Ahmed