irtibaat-e-bahami shaiKH-o-barahman mein nahin
jo maza hai mil ke rahne mein wo an-ban mein nahin
nala-sanji-e-anadil se ye chalta hai pata
nam ko bu-e-wafa arbab-e-gulshan mein nahin
dair-o-kaba ki parastish phir bhala kis kaam ki
jab KHulus-e-bandagi shaiKH-o-barahman mein nahin
phir khaTakte hain nigah-e-baghban mein kis liye
KHair se ab chaar tinke bhi nasheman mein nahin
umr-bhar mujh ko jala ke sham-o-gul kyun lae ab
dagh-e-dil ki raushni kya mere madfan mein nahin
phir taDap kar bar bar aati hai bijli kis liye
ek tinka bhi to ab mere nasheman mein nahin
apne dil ki aap ne pahnaiyan dekhin kahan
aisi wusat to qayamat ke bhi daman mein nahin
hath sine par na rakkho ho chuka qissa tamam
ab koi aawaz mere dil ki dhaDkan mein nahin
hain sabaq-amoz auraq-e-kitab-e-gul magar
juz fareb-e-rang-o-bu kuchh un ke daman mein nahin
dekh kar wo zaKHm-e-dil ki karti kya baKHiya-gari
nur ka Dora sawda-e-chashm-e-sozan mein nahin
is qadar pisa zamane ne mujhe 'shoala' ki ab
ek dana bhi meri qismat ka KHirman mein nahin
Ghazal
Irtibaat-e-bahami shaiKH-o-barahman mein nahin
Shola Kararvi