اردو हिंदी
Iradon ki shikaston par sana-KHwani se pahchana | Shaahi Shayari
iradon ki shikaston par sana-KHwani se pahchana

Ghazal

Iradon ki shikaston par sana-KHwani se pahchana

Kaleem Haider Sharar

;

iradon ki shikaston par sana-KHwani se pahchana
KHudaya main ne tujh ko kitni aasani se pahchana

kai logon ne phalte phulte peDon se jaana hai
magar main ne tujhe sabze ki uryani se pahchana

mere sajde isi duniya mein mere kaam aae hain
mere qatil ne mujh ko meri peshani se pahchana

kabhi dekha ki dil kaise sikuDta hai zarurat par
kabhi duniya ko paison ki farawani se pahchana

rag-o-pai mein dar aata hai 'sharar' har sher ka nashsha
ghazal ko barha tartib-e-jismani se pahchana