اردو हिंदी
Irada ho aTal to moajaza aisa bhi hota hai | Shaahi Shayari
irada ho aTal to moajaza aisa bhi hota hai

Ghazal

Irada ho aTal to moajaza aisa bhi hota hai

Zafar Gorakhpuri

;

irada ho aTal to moajaza aisa bhi hota hai
diye ko zinda rakhti hai hawa aisa bhi hota hai

sunai de na KHud apni sada aisa bhi hota hai
miyan tanhai ka ek saneha aisa bhi hota hai

chhiDe hain tar dil ke KHana-barbaadi ke naghme hain
hamare ghar mein sahib rat-jaga aisa bhi hota hai

bahut hassas hone se bhi shak ko rah milti hai
kahin achchha to lagta hai bura aisa bhi hota hai

kisi masum bachche ke tabassum mein utar jao
to shayad ye samajh pao KHuda aisa bhi hota hai

zaban par aa gae chhaale magar ye to khula hum par
bahut miThe phalon ka zaiqa aisa bhi hota hai