'iqbaal' yunhi kab tak hum qaid-e-ana kaTen
mil baiTh ke logon mein aa apne KHala kaTen
jo karna hai ab kar len hum tum se na kahte the
ab sang-sitam chahen hone ki saza kaTen
ab banjh zaminon se ummid bhi kya rakhna
roen bhi to la-hasil boen bhi to kya kaTen
par le ke kidhar jaen kuchh dur tak uD aaen
dam jitna mayassar hai ye Thahri hawa kaTen
is marhala-e-shab mein ab ek hi surat hai
ya dasht-e-talab paTen ya gardish-e-pa kaTen
Ghazal
Iqbaal yunhi kab tak hum qaid-e-ana kaTen
Iqbal Kausar