intishaar-o-KHauf har ek sar mein hai
aafiyat se kaun apne ghar mein hai
zindagi par sab haqiqat khul chuki
tu abhi tak KHwab ke paikar mein hai
mutmain insan kahin par bhi nahin
ek si haalat zamane bhar mein hai
raat ki chaTTan se subhen tarash
KHwab ki tabir isi patthar mein hai
jhuT ki ban aai hai chaaron taraf
sach agar hai bhi to pas-manzar mein hai
barf ehsasat ki pighla sake
wo sharar mazi ki KHakistar mein hai
TuT jaane tak uDenge hum 'niyaz'
hausla itna to baal-o-par mein hai
Ghazal
Intishaar-o-KHauf har ek sar mein hai
Abdul Mateen Niyaz