inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai
tar-ba-tar ye raushni sahra bhi hai dariya bhi hai
aag par mera tasarruf aab par meri giraft
meri muTThi mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai
jhil mein Thahra hua hai us ka aks-e-atishin
aaine mein is ghaDi sahra bhi hai dariya bhi hai
jal uThen yaadon ki qindilen sadaen Dub jaen
dar-haqiqat KHamushi sahra bhi hai dariya bhi hai
zinda lauT aaya hun jangal se to kya ja-e-malal
mere raste mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai
koi KHeme rakh kar de koi bazu chhin le
ek si ghaarat-gari sahra bhi hai dariya bhi hai
ret par rakhkhun tujhe ya bahte pani mein bahaun
dekh ai tishna-labi sahra bhi hai dariya bhi hai
tu bagula hai ki hai girdab ai raqs-e-dawam
faisla kar le abhi sahra bhi hai dariya bhi hai
dasht bhi us ki riwayat mein hai mauj-e-ab bhi
meri aankhon ki nami sahra bhi hai dariya bhi hai
tu sambhaalega bhala kaise ye sari saltanat
'shahryar'-shaeri sahra bhi hai dariya bhi hai
Ghazal
Inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai
Ahmad Shahryar