اردو हिंदी
In zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin | Shaahi Shayari
in zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin

Ghazal

In zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin

Taban Abdul Hai

;

in zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin
goya ki un ke zulm ka anjam hi nahin

gham wasl mein hai hijr ka hijran mein wasl ka
hargiz kisi tarah mujhe aaram hi nahin

kya kya KHarabiyan main tere waste sahin
tis par bhi chahne ka mere nam hi nahin

ab hum dinon ko apne na roen to kya karen
karne the jin mein aish we ayyam hi nahin

we shaKHs jin se faKHr jahan ko tha ab we hae
aise gae ki un ka kahin nam hi nahin

tum jo har ek ke dil ko satate ho kya miyan
aaghaz ka jafa ke kuchh anjam hi nahin

'taban' bata main ijz kahan tak kiya karun
juz tark-e-mehr-yar ka paigham hi nahin