اردو हिंदी
In sabhi daraKHton ko aandhiyon ne ghera hai | Shaahi Shayari
in sabhi daraKHton ko aandhiyon ne ghera hai

Ghazal

In sabhi daraKHton ko aandhiyon ne ghera hai

Shahid Ghazi

;

in sabhi daraKHton ko aandhiyon ne ghera hai
jin ki sabz shaKHon par panchhiyon ka Dera hai

aaj ke zamane mein kis ko rahnuma samjhen
ab to har qabile ka rahbar luTera hai

sau diye jalae hain doston ke aangan mein
phir bhi mere aangan mein har taraf andhera hai

tujh ko kuchh KHabar bhi hai mere dil ki shahzadi
mere dil ke goshe mein bas KHayal tera hai

tere hijr mein meri dekh bujh gain aankhen
kuchh nazar nahin aata har taraf andhera hai

zulm sah ke bhi main ne honT si liye 'ghazi'
ek zarf un ka hai ek zarf mera hai