اردو हिंदी
In ke ruKH par hijab rahta hai | Shaahi Shayari
in ke ruKH par hijab rahta hai

Ghazal

In ke ruKH par hijab rahta hai

Laiq Akbar sahaab

;

in ke ruKH par hijab rahta hai
jaise mah par sahab rahta hai

wasl ka jab sawal ho un se
bas nahin mein jawab rahta hai

pas rah kar bhi darmiyan apne
fasla be-hisab rahta hai

husn walon se jo wafa chahe
us ka KHana KHarab rahta hai

ham-safar sohni si ho koi
mere KHun mein chanab rahta hai

misl-e-taer hawa mein uDta hun
meri aankhon mein KHwab rahta hai

reg-e-sahra unhen nigalti hai
jin ki rah mein sarab rahta hai

man ki jis ko duaen mil jaen
umr bhar kaamyab rahta hai

jaane kis KHak se bana hun main
ruh mein iztirab rahta hai

uljhe rishton ki talKH uljhan mein
uljha uljha 'sahab' rahta hai