in aankhon mein basa koi zohra-jabin hai ab
muztar kuchh aisa dil hai Thaharta nahin hai ab
bachpan hi se the rashk-e-hasinan-e-dil-fareb
ahd-e-shabab un ka ghazab dil-nashin hai ab
dildar mere han se bahut mushtail gaya
ai dil samajh le KHair adu ki nahin hai ab
aashiq tumhaara kahte hain dekha nahin kabhi
yani tumhaari yaad mein KHalwat-guzin hai ab
kafi hai tere hath ka chhalla yahi mujhe
kuchh KHatim-e-sulaiman ki hasrat nahin hai ab
afsana mera sun ke pasheman hai chashm-e-yar
kis darja KHashmagin thi magar sharmgin hai ab
kya jaane yaro kis ke tasawwur mein kho gaya
dekha 'jalali' hum ne sarapa hazin hai ab

Ghazal
In aankhon mein basa koi zohra-jabin hai ab
Rauf Yasin Jalali