اردو हिंदी
Ek yahi wasf hai isMein jo amar lagta hai | Shaahi Shayari
ek yahi wasf hai isMein jo amar lagta hai

Ghazal

Ek yahi wasf hai isMein jo amar lagta hai

Priya Tabita

;

ek yahi wasf hai is mein jo amar lagta hai
wo kaDi dhup mein bargad ka shajar lagta hai

yun to chahat mein nihan june ki hiddat hai magar
sard lahje mein december ka asar lagta hai

jab se jaana ki wo ham-shahr hai mera tab se
shahr-e-lahore bhi jadu ka nagar lagta hai

jaane kab gardish-e-ayyam badal Dale tujhe
jit kar tujh ko mujhe haar se Dar lagta hai

chahe kitni hi sajawaT se muzayyan ho magar
man nazar aae to ghar asl mein ghar lagta hai

is qadar us ki nigahon mein taqaddus hai nihan
sar jhukati hun to pipal ka shajar lagta hai