ek umr hui aur main apne se juda hun
KHushbu ki tarah KHud ko sada DhunD raha hun
har lamha teri yaad ke sae mein kaTa hai
thak thak ke har ek gam pe jab baiTh gaya hun
tu lakh juda mujh se rahe pas hai mere
tu gumbad-e-hasti hai to main is ki sada hun
har sans teri baad-e-sahar ka koi jhonka
main phul nahin aur tere raste mein khila hun
taswir ki har nok palak hai mere KHun se
ek rang hun main aur tere KHwabon mein ghula hun
har sans chali aati hai jaan hath mein le kar
main sochta hun main bhi koi koh-e-nida hun
zinda hun ki marna meri qismat mein likha hai
har roz gunahon ki saza kaT raha hun
ek aalam-e-tanhai hai kuchh dekha hua sa
shayad ki main apne hi bayaban mein khaDa hun
ye haal mera meri mohabbat ka sila hai
jo apne hi daman se bujha ho wo diya hun
tu chand hai main chand ka anjam-e-safar hun
aankhon mein teri dur kahin Dub gaya hun
ruswa hun magar KHud se chhupa phirta hun 'tabish'
apne se nihan sare zamane pe khula hun
Ghazal
Ek umr hui aur main apne se juda hun
Tabish Siddiqui