ek shoKH ke honTon se ye jam tarashe hain
ye jam tarashe hain inam tarashe hain
aaine pe kyun itne barham nazar aate ho
jo shaklen milen us se wo nam tarashe hain
masjid ho kar mandir ho kuchh farq nahin lekin
KHud hum ne hi nafrat ke asnam tarashe hain
taqsim hun majburan main kitne hi KHanon mein
duniya ne magar kya kya ilzam tarashe hain
likkhega gila kya hai karne se hi hota hai
logon ne pahaDon mein gulfam tarashe hain
farzanon ki basti mein kya kaam 'niyazi' ka
diwanon sa lahja hai ibham tarashe hain

Ghazal
Ek shoKH ke honTon se ye jam tarashe hain
Qasim Niyazi