ek sahifa naya utra hai suna hai logo
marna dost ka bhi jis mein rawa hai logo
hum ne jo kuchh na kya us ki saza bhi pai
aur wo jo bhi kare sab hi rawa hai logo
zulm ki had hai jahan KHatm wahan par wo hai
DhunD lo us ko yahi us ka pata hai logo
dil mein ek shola-e-ummid tha so sard hua
chand mathe ka mere kab ka bujha hai logo
jis ko tum kahte ho KHush-baKHt sada hai mazlum
jina har daur mein aurat ka KHata hai logo
dekhiye zaKHm ka kya haal hua hai 'raziya'
aaj to dard mera had se siwa hai logo
Ghazal
Ek sahifa naya utra hai suna hai logo
Raziya Faseeh Ahmad