ek saen saen ghere hai girte makan ko
aur aankhen takti hain chamakti chaTan ko
chaDhte hi mere ho gai diwar se alag
hasrat se dekhta hun usi nardban ko
andeshe dur dur ke nazdik ka safar
kashti ko dekhta hun kabhi baadban ko
zindan-e-roz-o-shab mein hai hum sab ko umr-qaid
koi bachae aa ke mere KHandan ko
yaadon ke shor-o-ghul mein khaDi ghar ki KHamoshi
aawaz de rahi hai kisi mehrban ko
barson se ghumta hai isi tarah raat din
lekin zamin milti nahin aasman ko
Ghazal
Ek saen saen ghere hai girte makan ko
Sheen Kaaf Nizam