ek raat mein sau bar jala aur bujha hun
muflis ka diya hun magar aandhi se laDa hun
jo kahna ho kahiye ki abhi jag raha hun
sounga to so jaunga din bhar ka thaka hun
qindil samajh kar koi sar kaT na le aae
tajir hun ujale ka andhere mein khaDa hun
sab ek nazar phenk ke baDh jate hain aage
main waqt ke show-case mein chup-chap khaDa hun
wo aaina hun jo kabhi kamre mein saja tha
ab gir ke jo TuTa hun to raste mein paDa hun
duniya ka koi hadsa KHali nahin mujh se
main KHak hun main aag hun pani hun hawa hun
mil jaunga dariya mein to ho jaunga dariya
sirf is liye qatra hun ki dariya se juda hun
har daur ne baKHshi mujhe mearaj-e-mohabbat
neze pe chaDha hun kabhi suli pe chaDha hun
duniya se nirali hai 'nazir' apni kahani
angaron se bach nikla hun phulon se jala hun
Ghazal
Ek raat mein sau bar jala aur bujha hun
Nazeer Banarasi