اردو हिंदी
Ek qayamat ka ghaw aankhen thin | Shaahi Shayari
ek qayamat ka ghaw aankhen thin

Ghazal

Ek qayamat ka ghaw aankhen thin

Seema Ghazal

;

ek qayamat ka ghaw aankhen thin
ishq tufan mein naw aankhen thin

rasta dil talak to jata tha
us ka pahla paDaw aankhen thin

ek tahzib tha badan us ka
us pe ek rakh-rakhaw aankhen thin

jin ko us ne charagh samjha tha
us ko ye to batao aankhen thin

dil mein utra wo der se lekin
mera pahla lagaw aankhen thin

qatra qatra jo bah gain kal shab
aao tum dekh jao aankhen thin