اردو हिंदी
Ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si | Shaahi Shayari
ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si

Ghazal

Ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si

Zeb Ghauri

;

ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si
baiThi hai dariya ke kinare meri tarah akeli si

jab main nasheb-o-rang-o-bu mein utra us ki yaad ke sath
os mein bhigi dhup lagi hai narm hari lachkili si

kis ko KHabar main kis raste ki dhul banun ya phul banun
kya jaane kya rang dikhae us ki aankh paheli si

tez hawa ki dhaar se kaT kar kya jaane kab gir jae
lahraati hai shaKH-e-tamanna kachchi bel chameli si

kam raushan ek KHwab aaina ek pila murjhaya phul
pas-manzar ke sannaTe mein ek nadi pathrili si