اردو हिंदी
Ek naya lahja banaya harf-e-alamgir ka | Shaahi Shayari
ek naya lahja banaya harf-e-alamgir ka

Ghazal

Ek naya lahja banaya harf-e-alamgir ka

Karrar noori

;

ek naya lahja banaya harf-e-alamgir ka
fikr ko garma gaya shoala meri taqrir ka

walwala kuchh kam na tha betabi-e-tadbir ka
kis tarah hum man lete faisla taqdir ka

zehn par ghaalib raha hai KHud-satai ka junun
hum ki munh dekha kiye KHud apni hi taswir ka

KHud-shanasi se mili hai zindagi ki aarzu
zindagi KHud ban gai halqa meri zanjir ka

jhuT bole dusron ki aabru ke waste
hum ne zimma le liya hai ghair ki tauqir ka

main ne is andaz se gulshan mein ki 'nuri' fughan
shor barpa kar diya gulchin ne dar-o-gir ka