ek nashtar-e-nigah hai is se ziyaada kya
dam bhar ki aah aah hai is se ziyaada kya
gardan se tauq-e-KHauf-o-talab ko nikali dekh
phir koi baadshah hai is se ziyaada kya
taqat agar hai panw mein sahra ka KHauf kyun
bas ek kushada rah hai is se ziyaada kya
wo to hawa thi band na muTThi mein ho saki
ab ranj KHwah-maKHwah hai is se ziyaada kya
baalon ko apne chhoD meri sham-e-gham ko dekh
phir dekh kuchh siyah hai is se ziyaada kya
har-chand aaj bhi hai wahi kasrat-e-umid
haari hui sipah hai is se ziyaada kya
ek kankari uchhaal ke toDo tilism-e-tab
pani mein aks-e-mah hai is se ziyaada kya
hain kaamyab jin ka yahan ji nahin laga
duniya ki dars-gah hai is se ziyaada kya
ghaTta hi jaega ye latafat ke sath sath
ye jism zad-e-rah hai is se ziyaada kya
KHun-e-jigar se sher likho aur ma-hasal
dam bhar ki wah-wah hai is se ziyaada kya
Ghazal
Ek nashtar-e-nigah hai is se ziyaada kya
Mohammad Aazam