ek naqsh-e-KHayal ru-ba-ru hai
jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai
har phul ke sath ek kanTa
har dost ke sath ek adu hai
dil hai to hazar tujh se achchhe
aisa hi to ek baDa wo tu hai
dushman ke jigar ka KHar main hun
aur us ke gale ka haar tu hai
daman jo hai parda-dar-e-wahshat
is mein bhi kai jagah rafu hai
main aap hi aap ro raha hun
kuchh aap hi aap guftugu hai
mahshar mein kisi ka hae kahna
ab aap ke hath aabru hai
o ghair ko aankh dene wale
'muztar' bhi nigah-e-ru-ba-ru hai
Ghazal
Ek naqsh-e-KHayal ru-ba-ru hai
Muztar Khairabadi