ek na aane wale ka intizar karte hain
sham-e-rah-guzar hain hum rose bujhte-jalte hain
mere kuchh na kahne ko harf-e-arzu samjho
KHamushi mein bhi mani kuchh na kuchh nikalte hain
ek nashsha rahta hai tujh se mil ke pahron tak
nashsha jab nahin hota aur hum bahakte hain
rah-e-dard mein koi ham-safar nahin hota
apni aag mein KHud hi shama san pighalte hain
dekhna hai kaun 'ishqi' sath de sar-e-manzil
ibtida mein to sab hi sath sath chalte hain
Ghazal
Ek na aane wale ka intizar karte hain
Shahid Ishqi