اردو हिंदी
Ek KHwab tha aankhon mein jo ab ashk-e-sahar hai | Shaahi Shayari
ek KHwab tha aankhon mein jo ab ashk-e-sahar hai

Ghazal

Ek KHwab tha aankhon mein jo ab ashk-e-sahar hai

Zia Jalandhari

;

ek KHwab tha aankhon mein jo ab ashk-e-sahar hai
ek tair-e-wahshi tha so wo KHun mein tar hai

wo dur nahin hai ye rasai nahin hoti
har lamha koi taza KHam-e-rahguzar hai

dil aaj kuchh is tarah dhaDakta hai ki jaise
ab shauq-e-mulaqat pe hawi koi Dar hai

kuchh hausla-e-zabt hai kuchh waza hai apni
shoala na bana lab pe jo sine mein sharar hai

sunte to rahe sab ki ye hasrat rahi dil mein
hum par bhi khule zist ka mafhum agar hai

taraj bahaaran hai ki ek jashn-e-junun hai
raqsan hain bagule ki hawa KHak-basar hai

aashufta kiya itna 'ziya' dar-ba-dari ne
bawar nahin aata ki hamara koi ghar hai