اردو हिंदी
Ek KHushi ke liye hain kitne gham | Shaahi Shayari
ek KHushi ke liye hain kitne gham

Ghazal

Ek KHushi ke liye hain kitne gham

Yazdani Jalandhari

;

ek KHushi ke liye hain kitne gham
mubtala-e-sad-arzu hain hum

dil bhi lauh-o-qalam ka ham-sar hai
dastanen hain kitni dil pe raqam

azmat-e-raftagan hai nazron mein
apne mazi ko DhunDte hain hum

para para hai KHud junun lekin
fikr-e-insan isi se hai mohkam

bhigi bhigi hai har kiran un ki
hai sitaron ki aankh bhi pur-nam

yun na hoti sahar ki ruswai
kash khulta na raushni ka bharam

hum hain aur ehtiram-e-husn-e-wafa
wo hain aur ehtimam-e-mashq-e-sitam

kamtar us ko na kahiye 'yazdani'
aadmi KHud hai jaan-e-do-alam