اردو हिंदी
Ek ka ghunT samundar ek ka paikar pyas | Shaahi Shayari
ek ka ghunT samundar ek ka paikar pyas

Ghazal

Ek ka ghunT samundar ek ka paikar pyas

Krishna Kumar Toor

;

ek ka ghunT samundar ek ka paikar pyas
pani aab-e-hayat aur sikandar pyas

amrit-bund aasman se Tapka pani
garm tawe par ek parinda-e-be-par pyas

bich ki ek lakir hi ab faisla kare
kis ke bazu pani kis ki chadar pyas

donon bahr-e-shola-e-zat donon asir-e-ana
dariya ke lab par pani dasht ke lab par pyas

rang-e-lahu se gulgun aab-e-nahr-e-furaat
ahd-e-wafa ka aaina ek samundar pyas

shayad ek KHanjar hi dil shadab kare
wo ek tanha pyasa meri ghar bhar pyas

'tur' wahi hisar hai gham-e-arzani ka
bahar ki samt naqsh hai jo ek patthar pyas