اردو हिंदी
Ek jagah hun phir wahan ek yaad rah jaane ke baad | Shaahi Shayari
ek jagah hun phir wahan ek yaad rah jaane ke baad

Ghazal

Ek jagah hun phir wahan ek yaad rah jaane ke baad

Javed Shaheen

;

ek jagah hun phir wahan ek yaad rah jaane ke baad
kis qadar pani kisi dariya mein bah jaane ke baad

ek jagah KHud mujh ko apne sach pe shak sa paD gaya
pur-yaqin kitna tha wo ek jhuT kah jaane ke baad

sham hai aur jaane wala din hai mere samne
ranj mein hun mera sara kaam rah jaane ke baad

hai yaqin mujh ko ki hai rahne ke qabil ye jahan
han magar kitna KHas o KHashak bah jaane ke baad

ek nai tamir ka sochunga phir pahle mujhe
saf karni hai zamin ek shahr Dhah jaane ke baad

yun hua phir main ne us se kam talluq kar liya
us ki koi baat ek mushkil se sah jaane ke baad

KHud se baaten kar ke koi bojh halka ho gaya
kuchh sukun aa jae jaise zaKHm bah jaane ke baad

soch le 'shahin' use pana ki khona hai use
ja chuka hai wo tujhe ek baat kah jaane ke baad