ek jadugar hai aankhon ki basti mein
tare Tank raha hai meri chunari mein
mere saKHi ne KHali hath na lauTaya
Dheron dukh bandhe hain meri gaThDi mein
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki aankhen girwi hain is nagri mein
jin ki KHushbu chhed rahi hai aanchal ko
kaise phul wo Dal gaya hai jholi mein
jis ne mehr-o-mah ke khate likhne hon
main ek zarra kab tak us ki ginti mein
ishq hisab chukana chaha tha hum ne
sari umr sama gai ek kaTauti mein
harf-e-zist ko maut ki dimak chaT bhi le
kab se hun mahsur badan ki ghaTi mein
Ghazal
Ek jadugar hai aankhon ki basti mein
Hamida Shahin