ek ima ek ishaara mar raha hai
ufuq par dil ke tara mar raha hai
jo mere baad sab paida hua tha
wo mujh se pahle sara mar raha hai
jise tha phul kar phaTakna hi lazim
sikuD kar wo ghubara mar raha hai
kai maujon ne dam toDa tha jis par
suna hai wo kinara mar raha hai
KHirad tahlil sahra kar rahi hai
junun ka istiara mar raha hai
nazar ki maut ek taza alamiya
aur itne mein nazara mar raha hai
zaman-paima yahi miqyas-e-dil tha
magar ab us ka para mar raha hai
mujhe zinda thi jis ki na-gawari
wo ab mujh ko gawara mar raha hai
kahan mangi hui sansen kahan dil
jilaya tha, dobara mar raha hai
Ghazal
Ek ima ek ishaara mar raha hai
Abdul Ahad Saaz