ek hawa aai hai diwar mein dar karne ko
koi darwaza khula hai mujhe ghar karne ko
dur sahra mein koi zulf si lahrai hai
koi baadal sa uDa hai mujhe tar karne ko
nazar aai hai kisi chand ki parchhain si
shab-e-hasti mein mere sath safar karne ko
aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par
main bhi ek shaKH si rakhta hun shajar karne ko
ai sadaf sun tujhe phir yaad dila deta hun
main ne ek chiz tujhe di thi guhar karne ko
Ghazal
Ek hawa aai hai diwar mein dar karne ko
Farhat Ehsas